Price: ₹275 - ₹259.00
(as of Sep 08, 2024 16:28:49 UTC – Details)
Pyari nalini! is samay tumhe halke man se sambodhit kar rahi hoon ya bhari se pata nahi,kintu ek nirnay tak pahunchne k baad ab kuch bhi kathin nahi lag raha.sach kaho to jivan me pahli baar yah bhi lag raha hai ki apne hi jivan ka koi ek nirnay purnath sawayam liya hai,anyatha to ab tak sabhi kuch Bhaboji-Dhaji aur samaj hi pratyaksh-apratyaksh roop se nirdharit karta aaya tha aur jo unhone tay n kiya vo niyati ne tay kar diya tha.”
‘Ek thi Shail Baisa’ upnyas shail bai ki kahani ke sath hi Megh Singh ji aur Kesar Bai ke prem aur anurag ki kahani bhi hai. ye davadi Sabari bai ke registan se jivan ko nakarte rahne ki katha bhi hai.Nalini bai ke sthapit mulyon me vishvas ki aur Daulat bai ke byaj se samaj dwara samaj dwara ki ja rahi nari ‘conditioning ‘ ki kahani bhi hai. Ye kahani aaj se sau varsh pahle ke us Rajasthan aur uske gaon ki kahani hai jisaki pag-dandiyan pakki sadkon ke niche dabti ja rahi hai.Jiske vastron aur aabhushno ki vividhta simat kar patloon ke belt sang bandhti ja rahi hai. Ye kahani un riwazon ki bhi hai jinhen naitron se hridaya aur hriday se naitron tak bhar lene ki chah hoti thi,antatah ye kahani un apno ki bhi hai jinke hridaya me irshya-dah ki agani rah-rah kar dhadhakti hai aur ek hariyal bagh kodavanal me badal deti hai.
ASIN : B0CLZMRXNH
Publisher : Notion Press (28 October 2023)
Language : Hindi
Paperback : 188 pages
ISBN-13 : 979-8891860216
Item Weight : 1 kg 50 g
Dimensions : 20 x 14 x 1 cm
Country of Origin : India