Price: ₹899 - ₹498.00
(as of Dec 11, 2024 22:05:20 UTC – Details)
Khaaliq-e-kaaenaat ne jab Bani Aadam ko rooe zameen par basaaya to waqt guzarne ke saath saath bani naw-e-insaan mein khaalis tauheed ki jagah shirk, but-parasti aur digar akhlaaqi kharaabiyaan dar aaeen. Insaaniyat ko us ki asli raah par laane ke liye Allah Ta’aala ne aasmaani hidaayat irsaal karne ka silsila shuru kiya aur pai-darpai ambiyaa wa rusul mab’oos farmaae. Ye nufoos-e-qudsiya tamaam zaahiri aur baatini khoobiyon ke paikar the, ek taraf ye giroh-e-ambiya agar husn-o-jamaal mein yaktaae rozgaar tha to doosri taraf husn-e-akhlaaq, be-misaal seerat-o-kirdaar aur aa’la darja ki shujaa’at, himmat aur isteqaamat se bhi aaraasta tha. Unhon ne rushd-o-hidaayat ki raahen raushan keen, tauheed-e-Ilaahi ka parchaar kiya aur bhathke hue insaanon ko raah-e-raast par laane ke liye koi daqeeqa faroguzaasht na kiya. Is muqaddas farz ki adaaigi ki raah mein unhen be-shumaar masaaib-o-mushkilaat ka saamna karna pada. Un par tarah tarah ke mazaalim dhaae gae. Kisi nabi ko jalti hui aag mein phenka gaya, kisi ka sar qalam kiya gaya aur kisi ko aare se cheer diya gaya. Lekin Ambiya ؊ ko apni da’wat ki sadaaqat ka is qadar yaqeen aur apne Rab par is qadar pukhta bharosa tha ke wo muskuraate hue in tamaam masaaib ko bardaasht kar gae, magar un ke paae sabaat mein adna si laghzish bhi nahin aaee. Qisas-ul-Ambiya inhi misaali insaanon ka zikr-e-jameel aur un ki paakeeza seeraton ka guldasta hai, jise ham ne apne riwaayati andaaz mein husn-e-tabaa’at aur husn-e-ma’aani ki khoobiyon se aaraasta karke tishnigaan-e-ilm ki sairaabi ke liye pesh kiya hai. Aap is kitaab ko padhte hue bahut si jadeed ma’loomaat apne qalb-o-zehan mein mahfooz karlenge.
ASIN : B09RH3D3D6
Publisher : Maktabah Assunnah–Huda Publications (31 December 2020)
Language : English
Hardcover : 620 pages
Reading age : 13 years and up
Item Weight : 1 kg
Country of Origin : India